hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin
mere naghmat ko andaz-e-nawa yaad nahin
main ne palkon se dar-e-yaar pe dastak di hai
main wo saahil huun jise koi sada yaad nahin
main ne jin ke liye rahon mein bichaya tha lahu
ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yaad nahin
kaise bhar aaein sar-e-sham kisi ki ankhen
kaise tharraye charaghon ki ziya yaad nahin
sirf dhundhlaii sitaron ki chamak dekhi hai
kab hua kaun hua kis se khafa yaad nahin
zindagi jabr-e-musalasal ki tarah katti hai
jane kis jurm ki paaii hai saza yaad nahin
ao ik sajda karen alam-e-madhoshi mein
kahte hain ke Saghar ko Khuda yaad nahin
0 comments:
Post a Comment