Saturday, 11 February 2012

Kabi Baarish Saja Dena

Barasti boond chun chun kr
koi gajra bana dena
mere hathon me
balon me
kabi baarish saja dena

ksi khushbo ka an'dekha sa aanchal
oorh lon ser se
gulabo
kuch lamhy ko tum
mujhe apni adaa dena

wo mere hath pr honton ko rakhy
pyas k dukh me
isi khatir hatheli pr
koi daria bana dena

bikharti dhop se chehre
main behty aab pr dekhon
zara paani me apne aks ka manzar mila dena

main bhar lon hath ka piyala
sunheri dhop kirno se
mere soraj ko darya k
kinary pr bula dena

usi k hath rakh dena
baharon k sabhi mosam
mujhe titli k per dy kr
baharon ki dua dena

meri ankhain jaga k tum
jo mere khwab parhty ho
suno !
jany se kuch pehle
meri ankhain sula dena
Friday, 10 February 2012

Lafzon Se Darta Hon

Na Khaaif Hon Main Nishtar Se
Na Main Kanton Se Darta Hon
Ksi Ka Dil Dukha Dain Jo
Main Un Lafzon Se Darta Hon

Suhany Thy Jo Sab K Sab
Wo Lamhy Reh Gye Peechy
Nye Logo
Nai Baton
Nye Lamhon Se Darta Hon

Zamany Ne Yehi Mera Nirala Toor Dekha Hy
Main Gheron Se Nahi Darta
Fqat Apno Se Darta Hon

Bury Hain Jo Haqiqat Me
Mgr Zahir Me Ache Hain
ELAHI
Is Zamany Me Un Logo Se Darta Hon

Ujalon Se Muhabbat Hy
Mujhe Ye Theek Hy Lekin
Jala Daalain Jo Gulshan Ko
Main Un Kirnon Se Darta Hon

Main Qaail Hon Fqat Unka
Jo Anso Rang Ly Aain
Jo Beh Jain Fqat Yonhi
Main Un Ashkon Se Darta Hon...


Thursday, 9 February 2012

Kaash Hum Tum Ajnabi Hoty


Kaash hum tum ajnabi hoty
Jis trha log hua krty hain
Be'taluq se
be ta'ruf se
Kaash hum tum ajnabi hoty

Be'qarari
na be'kali hoti
Na mukam'mal na Zindagi hoti
Yon na hoti aziyatain Dil me
Zindagi b na hoti mushkil me

Aansoun se na dosti krty
Apne Dil se na dushmani krty
Dosron ki trha hum b khush rehte
Kaash hum tum ajnabi hoty
Wednesday, 8 February 2012

Titliyan Q Safar Me Rehti Hain

Aably Pochty Hain Paun Se
Kya Mily ga Tumhain Wafaon Se

In Munderon Pe Kuch Chiragh B Thy
Kon Pochy ga Ab Hawaon Se

Bastiyan Zair-e-Aab Aati Gain
Hont Jalty Rahy Duaon Se

Titliyan Q Safar Me Rehti Hain
Bachiyan Pochti Hain Maaon Se

Bhook Ki Dhoop Humko Kha Jati
Bach Gye Mehnaton Ki Chaun Se

Dil Ne Hijrat Kabol Kr Li Thi
Hoosly Ho Sky Na Panu Se...

Tuesday, 7 February 2012

Chalo Ab Lot Aao Tum


suno tum ne kaha tha na
mujhe jazba-e-muhabbat se kabi jo tum pukaro gi
main uss din loot aaon ga
to dekho na!!
kai lamhon
kai salon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntzir ankhain
mere dil ki
ye dharkan or sansain
bs tumhara naam leti hain
wohi ik wird krti hain
meri ankho k sahil pr
teri khwahish ki mojon ne
bari halchal mchai hy
teri tasveer
sookhy phool
or tohfy
teri chahat ki khushbu me
abi tak saans lete hain
wo sb rasty
k jin pr tum humaray sath chalty thy
wo sb rasty
jahan teri hansi k phol khilty thy
jahan peroon ki shakhon pr
hum apna naam likhty thy
udasi se bhary manzar
tumhary lout kr aany ki
umeedain dilaty hain
suno kuch b nahi badla
tumhary paaun ki awaz sun'ny ki
mere kamry ki be'tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko
yon adhora to nahi choro
mujhe mat azmao tum
chalo ab lot aao tum


Monday, 6 February 2012

Choor Kr Nishaan Guzry

Chaman Ka Haal To Ye Hy
K Khaak Urti Hy
Kidhar Se Ho K Baharon K Karwan Guzry

Diyar-e-Yaar ka Sara Safar Anokha Tha
Kadam Kadam Pe Nya Dy K Imtehan Guzry

Saba B Aai To Pholon K Munh Jhulas K Gai
Yahan Se Abr B Barsa K Bijliyan Guzry

Jo Chup Rahain To Malamat Kry Zameer Humain
Khari Khari Jo Kahain
Aap Ko Giraan Guzry

Guzarny Ko To Museebat K Din Guzar Hi Gye
Bary Hi Gehre Mgr Choor Kr Nishaan Guzry

Sahi Gain Na Taghaful Ki Chnd Nazrain B
Hain Sharam'sar K Is Dil Me Kya Gumaan Guzry

Kabi To War Raqeeboon K Dy Gye Hain Maza
Kabi To Pyar Azizoon K B Giraan Guzry

Ae Dil Sambhal
K Ksi Ko Hisab Dena Hy
K Zindagani K Lamhy Kahan Kahan Guzry

Sunday, 5 February 2012

ملن کی آرزو کرنا

ملن کی آرزو کرنا سفر کی جستجو کرنا
جو تم مایوس ھو جاو تو مجھ سے گفتگو کرنا
یہ اکژ ھو بھی جاتا ھے ، کہ کوئی کھو بھی جاتا ھے
مقدر کو ستاٰو گے
تو پھر یہ سو بھی جاتا ھے
اگر تم حوصلہ رکھو وفا کا سلسلہ رکھو
جو تم سے پیار کر بیٹھے تو اس سے رابطہ رکھو
میں یہ دعوے سے کھتا ھوں
کبھی ناکام نہ ھو گے
محبت کو سمجھہ جاو
کبھی بدنام نہ ھو گے