Saturday, 9 March 2013

Mujhe Khabar Na Hoi


‫مجھے خبر نہ ھوئی
کیا تلاش تھی اس کی
جو میری ذات کے صفحے
پلٹ گیا یونہی !















Friday, 8 March 2013
Thursday, 7 March 2013

Bargashta-E- Yazdan Se Kuch Bhul Hui Hai


Bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai
bhatke hue insan se kuch bhul hui hai
ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phulon k nigehban se kuch bhul hui hai
jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamai
us ahad ke sultan se kuch bhul hui hai
hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhul hui hai
huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhul hui hai


mirza ghalib

***Talkhiyan***


Tazaad


Silsila Reh Jaye Ga


Urdu Poetry
























Urdu Poetry




Barish-E- Sange-E- Malamat

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey

Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey

Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey

Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey

Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey

Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey

Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
es dil kay hathon bohat majboor rahey


****Chalo Acha Kya Tum Ne****

‫چلو اچھا کِیا تم نے
ہمیں
خوابوں کی دُنیا سے
ہمیشہ دُور ہی رکھا
سُنا ہے
خواب کے تعبیر میں تحلیل ہونے سے ذرا پہلے
اک ایسا مرحلہ ہے
جس میں آنکھیں کھول لی جائیں
تو بینائی نہیں رہتی







Rahi Na Taqt -E- Guftar

Rahi na Taaqat E Guftaar aur agar ho bhi
Toh kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai

Jin k Honton Par

Jn ko honton pe tarb khez hansi hoti hai,
Wo bhi rote han kitabon me chopa k chehre