Saturday, 21 January 2012

Mohabbat Choour Di Hum Ne

Yeh tum se keh diya kis ne. . .
Kay tum bin reh nahi saktay. . .
Yeh dukh, hum seh nahi saktay. . .
Chalo, hum maan laitay hain. . .
Kay tum bin, hum buhat roye. . .
... Ke raaton ko na soye. . .
Magar, afsos hai jana. . .
Kay ab kay tum jo louto gey. . .
Humain tabdeel paao gey. . .
Buhat mayoos hogey tum. . .
Kay agar poochhna chaho kay,
Aisa kyon kiya hum ne. . .
To sunn loo ghour se jana. . .
Poorani eik riwaayat tang aa ker tor di hum ne…
Mohabbat chhour di hum ne…
Haan.
mohabbat choour di hum ne…
Friday, 20 January 2012

Khawabun Ki Tarah.

Gaye Mosam Mein Jo Khelte Thay Gulabun Ki Tarah
Dil Pe Utrenge Wohi Khawaab Azaabun Ki Tarah,

Raakh Kay Dher Pe Ab Raat Basar Karni Hai
Jal Chuke Hain Mere Khayme Mere Khawabun Ki Tarah,

Saa`at-e-Deed Kay Aariz Hain Gulabi Ab Tak
Awleen Lamhun Kay Gulnaar Hijabun Ki Tarah,

Woh Samundar Hai To Pher Rooh Ko Shadab Kare
Tashnagi Kiyoon Mujhe Deta Hai Saraabun Ki Tarah,

Gair Mumkin Hai Tere Ghar K Gulabun Ka Shumaar
Mere Riste Howe Zakhmun Kay Hisabun Ki Tarah,

Yaar To Hongi WOh Baaten Tujhe Ab Bhi Lekin
Shelf Mein Rakhi Howi Band Kitaabun Ki Tarah,

Kon Jaane Naye Saal Mein Tu Kis Ko Parhe
Tera Mayaar Badalta Hai Nisaabun Ki Tarah,

Sokh Ho Jaati Hai Ab Bhi Teri Aankhun Ki Chamak
Gaahe Gaahe Tere Dilchasb Sawaalon Ki Tarah,

Hijar Ki Shab Ki, Meri Tanhai Pe Dastak De Gi
Teri Khushbu, Mere Khoye Howe Khawabun Ki Tarah.
Thursday, 19 January 2012

***Tmam Shud***

Ankhon say khawab dil say tamana tamam shud
tum kaya gaay k shok e nazara tamam shud.

Kal tere tashanagaan say ya kaya mojaza howa.
Darya pay hont rakhay to darya tamam shud.

Dunya to ek baraf ki sil say sewa na thi
punchi zara c anch to dunya tamam shud.

Ushaq pay ya ab k ajab waqat aan para
mujnu k dil say hasrat e lala tamam shud.

Ek yaad e yaar he to pas e andaz ha hasan
warna wo kar e isak to kab ka tamam shud.
Wednesday, 18 January 2012

****Zinda****

Tumhare dum se hum zinda, hamare dum se gham zinda..
Kisi ke tum maseeha ho, kisi ke hum maseeha hain...
Tuesday, 17 January 2012

***Aaina***

Dekhna accha nahin zaanu pe rakh kar aaina
Dono naazuk hain na rakho aainey per aaina
Ho nahin sakta tere rukh ke barabar aaina
Rashk se apna kahan phhorrey muqaddar aaina
Mounh na dekha ghussey mein tum ne bohat accha kia
Dekh sakta kia ye chitwan kia ye tevar aaina
Lan tarani dekhna kehte hain wo kis naz se
Aaj aaye to muqabil mein chamak kar aaina
Surkh doray nashey ke aankhon mein dete hain baha
Sabab hai kaifiat koi dekhey pi kar aaina
Kam sini ki yaad aati hai tumhari saadgi
Ab sirakta hi zaanu se dum bhar aaina
Wasl mein youn so rahe hain phir subha ko jaag kar
Mere mounh per un ka mounh tha un ke mounh per aaina
Raushni dekhi nahin jati kisi suurat se bhi
Ghut ke mounh rehta hai tera aur barh kar aaina
Jab se wo khud bee'n huay hain qatl karne ko mere
Aap mein talwar hai jauhar mein khanjar aaina
Aaj to ye thehri ke dekhen kaun hai hasrat zada
Raat bhar hum un ka mounh dekhen wo din bhar aaina
Dekhna bhi hai dikhaana bhi haseeno ko hai shart
Is mein bazi le gaya hai banda parwar aaina
Shkal apni dekhta hai naz se aik ik hasee'n
Apne ghar mein ban gaya hai husn ka ghar aaina
Wo jo khud bee'n hain to hon ae "Dagh" tu jalta hai kyun
Saamne un ke rahega aainey per aaina..
Monday, 16 January 2012

Dil Hai Ainaa-E-Hairat

Dil hai ainaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat
Gam-e-dauran main hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat

Dil hai ainaa-e-hairat ko daaman se havaa detii hai
diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat

aaj kii raat kaa mahamaa hai malbuus-e-hariir
is chaman-zaar main ugate hain sharar aaj kii raat

main ne farahad kii aaGosh main shiriain dekhii
main ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat

jo chaman sarf-e-Khizaan haain vo bulaate hain mujhe
mujhe fursat nahe ai jaan-e-bahaar aaj kii raat

dar-e-yazadain pe bhii jhukatii nahiain is vaqt jabiain
mujh se ankhain na lara aaj kii raat

mashaal-e-sher kaa laayaa hun charhavaa
jagamagaatain haain shahiidon ke mazaar aaj kii raat
Sunday, 15 January 2012

Fursat-E-Gunah

Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke

Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke

Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke

Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke

Fursat-E-Gunah

Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke

Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke

Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke

Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke