Saturday 18 February 2012

Na main tumse koi ummeed rakkhoon dilnawazi ki



Na main tumse koi ummeed rakkhoon dilnawazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se 
Na meri dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton se 
Na zaahir ho tumhaari kashmakash ka raz nazron se


Tumhein bhi koi uljhan rokti hai pesh-kadami de
Mujhe bhi log kahte hain ye jalwe paraye hain !
Mere hamraah bhi ruswaaeeyan hain mere maazi ki
Tumhare sath bhi guzree huyi raaton ke saaye hain


Taarruf rog ban jaye to usko bhoolnaa behtar,
Taa'alluq bojh ban jaaye to usko tidnaa achchhaa
Wo afsaanaa jise anjaam tak laana na ho mumkin
Use ek khoob soorat mod dekar chhodnaa achchhaa 
Thursday 16 February 2012

Usay Kehna..

Us simt chalay ho to bas itna usay kehna,

Ab koi nahi harf-e-tamana usay kehna..


Duniya to kisi haal mein jeenay nahi deti

Chahat nahi hoti kbi ruswa usay kehna

Us ne hi kaha tha to yaqeen maine kiya tha

Umeed pe qayim hai ye duniya usay kehna

Zarkhaiz zameenain kbi banjar nahi hotin

Darya hi badal letay hain rasta usay kehna.

Kuch loog safar k liye mozoon nahi hotay,

Kuch raastay kat'tay nahi tanha usay kehna..

Wednesday 15 February 2012

عذاب سفر

یه کون پهر سے انهی راستوں په چهوڑ گیا؟
ابهی ابهی تو عذاب سفر سے نکلے تهے

Tuesday 14 February 2012

محبت نہیں رہی


وہ سلسلے ، وہ شوق ، وہ نسبت نہیں رہی
اب زندگی میں ہجر کی وحشت نیں رہی
ٹوٹا ہے جب سے اُس کی مسیحائی کا طِلسم
دل کو کسی مسیحا کی حاجت نہیں رہی
پھر یوں ہوا کہ کوئی شناسا نہیں رہا
پھر یوں ہوا کہ درد میں شدت نہیں رہی
پھر یوں ہوا کہ ہو گیا مصروف وہ بہت
اور ہمیں یاد کرنے کی فرصت نہیں رہی
اب کیا کسی کو چاہیں کہ ہم کو تو ان دنوں
خود اپنے آپ سے بھی محبت نہیں رہی
Monday 13 February 2012

Hasrat-E-Deed Mein Guzraan Hain Zamaney Kab Se

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se
Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se


Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab
Apne zimey hain tera farz najaney kab se


Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab
Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se

Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal
Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se

Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan
Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se

Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad
Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se

Sunday 12 February 2012

********Aaftab*********




Aaftab Wohi Per Roshni Nai
Alfaaz Wohi Per Mayni Nai
Shamma Wohi Per Mehfil Nai
Parwana Wohi Per Aashqui Nai


Mohabbat Wohi Per Jazbat Naye
Baat Wohi Per Waade Naye
Himmat Wohi Per Iraade Naye
Gulshan Wohi Per Phool Naye


Dost Wohi Per Dosti Nai
Phool Wohi Per Khushboo Nai
Khawab Wohi Per Tabeer Nai
Shakal Wohi Per Tasveer Nai


Karwan Wohi Per Rahi Naye
Baraat Wohi Per Barati Naye
Chand Wohi Per Chandni Nai
Eid Wohi Per Khushiyan Nai


Sonch Wohi Per Sawal Naye
Zindagi Wohi Per Saal Naye
Pyar Wohi Per Ahsaas Naye
Kwahish Wohi Per Khayal Naye